har ek chehre pe dil ko guman us ka tha
har ek chehre pe dil ko gumān us kā thā
basā na koī ye ḳhālī makān us kā thā
bahut dinoñ se mujhe yaad bhī nahīñ aatā
tamām-umr hī mujh ko dhiyān us kā thā
maiñ be-jahat hī rahā aur be-maqām sā vo
sitāra merā samundar-nishān us kā thā
maiñ us tilism se bāhar kahāñ talak jaatā
fazā khulī thī magar āsmān us kā thā
phir us ke ba.ad koī baat bhī zarūrī na thī
mire ḳhilāf sahī vo bayān us kā thā
tamām dukh mirī āñkhoñ meñ bujh ga.e lekin
jo dhīre dhīre jalā thā nishān us kā thā
mohabbatoñ kī kahānī meñ kaun shāmil hai
mujhe to bārhā ḳhud par gumān us kā thā
havā ne ab ke jalā.e charāġh raste meñ
ki merī raah meñ 'ādil' makān us kā thā
har ek chehre pe dil ko guman us ka tha
basa na koi ye KHali makan us ka tha
bahut dinon se mujhe yaad bhi nahin aata
tamam-umr hi mujh ko dhiyan us ka tha
main be-jahat hi raha aur be-maqam sa wo
sitara mera samundar-nishan us ka tha
main us tilism se bahar kahan talak jata
faza khuli thi magar aasman us ka tha
phir us ke baad koi baat bhi zaruri na thi
mere KHilaf sahi wo bayan us ka tha
tamam dukh meri aankhon mein bujh gae lekin
jo dhire dhire jala tha nishan us ka tha
mohabbaton ki kahani mein kaun shamil hai
mujhe to barha KHud par guman us ka tha
hawa ne ab ke jalae charagh raste mein
ki meri rah mein 'adil' makan us ka tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.