Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har ek gam pe aasudgi khaDi hogi

Ezaz Afzal

har ek gam pe aasudgi khaDi hogi

Ezaz Afzal

MORE BYEzaz Afzal

    har ek gaam pe āsūdgī khaḌī hogī

    safar āḳhirī manzil bahut kaḌī hogī

    ye apne ḳhuun lahroñ meñ Dūbtī kashtī

    bhañvar se bhaag ke sāhil pe paḌī hogī

    musāfiro ye ḳhalish nok-e-ḳhār to nahīñ

    zarūr paañv tale koī pankhuḌī hogī

    tire ḳhulūs-e-tahaffuz meñ shak nahīñ lekin

    havā meñ ret dīvār gir paḌī hogī

    nizām-e-qaid-e-musalsal meñ kaisī āzādī

    khule jo paañv to hāthoñ meñ hathkaḌī hogī

    tire farār sarhad qarīb thī lekin

    mirī talāsh zarā duur paḌī hogī

    tumhāre daur-e-musalsal munzabit tārīḳh

    hamāre raqs-e-musalsal ik kaḌī hogī

    mire gumān buniyād khokhlī niklī

    tire yaqīñ 'imārat kahāñ khaḌī hogī

    har ek gam pe aasudgi khaDi hogi

    safar ki aaKHiri manzil bahut kaDi hogi

    ye apne KHun ki lahron mein Dubti kashti

    bhanwar se bhag ke sahil pe ja paDi hogi

    musafiro ye KHalish nok-e-KHar ki to nahin

    zarur panw tale koi pankhuDi hogi

    tere KHulus-e-tahaffuz mein shak nahin lekin

    hawa mein ret ki diwar gir paDi hogi

    nizam-e-qaid-e-musalsal mein kaisi aazadi

    khule jo panw to hathon mein hathkaDi hogi

    tere farar ki sarhad qarib thi lekin

    meri talash zara dur ja paDi hogi

    tumhaare daur-e-musalsal ki munzabit tariKH

    hamare raqs-e-musalsal ki ek kaDi hogi

    mere guman ki buniyaad khokhli nikli

    tere yaqin ki 'imarat kahan khaDi hogi

    Source :
    • Book : Kalam-e-aizaz afzal (Pg. 167)
    • Author : Aizaz Afzal
    • Publication : Usmania Book Depot
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now