har ek jaanib hai raqs karti ajib si chup
har ek jānib hai raqs kartī 'ajīb sī chup
ye dil ke āñgan meñ nauha likhtī 'ajīb sī chup
rah-e-vafā meñ jahāñ pe bhaTkā thā ik musāfir
vahīñ kahīñ pe hai haath maltī 'ajīb sī chup
hai kuchh sadāoñ kā pīchhā kartī mirī samā'at
aur ik ḳhamoshī se mujh ko taktī 'ajīb sī chup
vo merī palkoñ ke saa.e saa.e vafā kī beleñ
aur un se ḳhvāboñ ke phuul chuntī 'ajīb sī chup
ufuq pe yādoñ ke zard āñchal meñ lipTā sūraj
aur us pe shāmoñ ke saath Dhaltī 'ajīb sī chup
vo pichhle mausam kā haath thāme hasīn manzar
vo agle mausam meñ us se laḌtī 'ajīb sī chup
vo ḳhush-gumānī kī koñpaloñ par khilī tamannā
aur us ke haq meñ du'ā.eñ kartī 'ajīb sī chup
vo sard rātoñ meñ āñsuoñ ke charāġh raushan
aur un charāġhoñ kī lau meñ jaltī 'ajīb sī chup
vo ḳhvāhishoñ ke badan se uThtī sunahrī ḳhushbū
vo dil ke mausam meñ chhup ke rotī 'ajīb sī chup
har ek jaanib hai raqs karti 'ajib si chup
ye dil ke aangan mein nauha likhti 'ajib si chup
rah-e-wafa mein jahan pe bhaTka tha ek musafir
wahin kahin pe hai hath malti 'ajib si chup
hai kuchh sadaon ka pichha karti meri sama'at
aur ek KHamoshi se mujh ko takti 'ajib si chup
wo meri palkon ke sae sae wafa ki belen
aur un se KHwabon ke phul chunti 'ajib si chup
ufuq pe yaadon ke zard aanchal mein lipTa suraj
aur us pe shamon ke sath Dhalti 'ajib si chup
wo pichhle mausam ka hath thame hasin manzar
wo agle mausam mein us se laDti 'ajib si chup
wo KHush-gumani ki konpalon par khili tamanna
aur us ke haq mein du'aen karti 'ajib si chup
wo sard raaton mein aansuon ke charagh raushan
aur un charaghon ki lau mein jalti 'ajib si chup
wo KHwahishon ke badan se uThti sunahri KHushbu
wo dil ke mausam mein chhup ke roti 'ajib si chup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.