har ek KHwab ki tabir thoDi hoti hai
har ek ḳhvāb kī tābīr thoḌī hotī hai
mohabbatoñ kī ye taqdīr thoḌī hotī hai
kabhī kabhī to judā be-sabab bhī hote haiñ
sadā zamāne kī taqsīr thoḌī hotī hai
palak pe Thahre hue ashk se kahā maiñ ne
har ek dard kī tash.hīr thoḌī hotī hai
safar ye karte haiñ ik dil se dūsre dil tak
dukhoñ ke paañv meñ zanjīr thoḌī hotī hai
duā ko haath uThāo to dhyān meñ rakhnā
har ek lafz meñ tāsīr thoḌī hotī hai
har ek KHwab ki tabir thoDi hoti hai
mohabbaton ki ye taqdir thoDi hoti hai
kabhi kabhi to juda be-sabab bhi hote hain
sada zamane ki taqsir thoDi hoti hai
palak pe Thahre hue ashk se kaha main ne
har ek dard ki tashhir thoDi hoti hai
safar ye karte hain ek dil se dusre dil tak
dukhon ke panw mein zanjir thoDi hoti hai
dua ko hath uThao to dhyan mein rakhna
har ek lafz mein tasir thoDi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.