har ek ki har pasand Thahre har ek ka intiKHab nikle
har ek kī har pasand Thahre har ek kā intiḳhāb nikle
hamī ko achchhā batāyā sab ne hamī ziyāda ḳharāb nikle
savāl thā is taraf anā kā vaqār kā mas.ala udhar thā
na dar pe ḳhāna-ḳharāb pahuñche na ghar se ālī-janāb nikle
ka.ī adāoñ ne gudgudāyā ka.ī nigāhoñ ne dastakeñ diiñ
ye vāqiye dil-nashīñ bahut the magar haqīqat meñ ḳhvāb nikle
sunī añdheroñ kī sugbugāhaT to shaam yādoñ kī kahkashāñ se
chhupe hue māhtāb nikle bujhe hue āftāb nikle
maiñ mutma.in huuñ ki lab-kushā.ī se maiñ ne had-e-adab na toḌī
vo is pe ḳhush hai ki aaj us ke savāl sab lā-javāb nikle
har ek ki har pasand Thahre har ek ka intiKHab nikle
hami ko achchha bataya sab ne hami ziyaada KHarab nikle
sawal tha is taraf ana ka waqar ka masala udhar tha
na dar pe KHana-KHarab pahunche na ghar se aali-janab nikle
kai adaon ne gudgudaya kai nigahon ne dastaken din
ye waqiye dil-nashin bahut the magar haqiqat mein KHwab nikle
suni andheron ki sugbugahaT to sham yaadon ki kahkashan se
chhupe hue mahtab nikle bujhe hue aaftab nikle
main mutmain hun ki lab-kushai se main ne had-e-adab na toDi
wo is pe KHush hai ki aaj us ke sawal sab la-jawab nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.