har ek lafz mein poshida ek alao na rakh
har ek lafz meñ poshīda ik alaao na rakh
hai dostī to takalluf kā rakh-rakhāo na rakh
har ek aks ravānī kī nazr hotā hai
nadī se kaun ye jā kar kahe bahāo na rakh
ye aur baat zamāne pe āshkār na ho
mirī nazar se chhupā kar tū dil kā ghaao na rakh
hisār-e-zāt se kaT kar to jī nahīñ sakte
bhañvar kī zad se yuuñ mahfūz apnī naav na rakh
ye inkisār mubārak 'shamīm' tujh ko magar
ab itnā shāḳh-e-samar-dār meñ jhukāv na rakh
har ek lafz mein poshida ek alao na rakh
hai dosti to takalluf ka rakh-rakhao na rakh
har ek aks rawani ki nazr hota hai
nadi se kaun ye ja kar kahe bahao na rakh
ye aur baat zamane pe aashkar na ho
meri nazar se chhupa kar tu dil ka ghao na rakh
hisar-e-zat se kaT kar to ji nahin sakte
bhanwar ki zad se yun mahfuz apni naw na rakh
ye inkisar mubarak 'shamim' tujh ko magar
ab itna shaKH-e-samar-dar mein jhukaw na rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.