har ek lamha hai mujh pe tari KHayal tera
har ek lamha hai mujh pe taarī ḳhayāl terā
maiñ ik parinda muhīt jis par hai jaal terā
bichhaḌ ke kunj apnī Daar se bain kar rahī hai
judā hai tū ham se jaane kyā hogā haal terā
ye ek Tahnī hai merā maskan na chhīn mujh se
havā-e-sarkash junūb terā shumāl terā
jo sabz patte the Dhaal terī vo jhaḌ ga.e haiñ
salīb-shāḳhoñ pe jhūltā hai zavāl terā
lahū kī kirnoñ se shab ko chhalnī kiyā hai tū ne
rahegā sūraj kī tarah raushan kamāl terā
har ek lamha hai mujh pe tari KHayal tera
main ek parinda muhit jis par hai jal tera
bichhaD ke kunj apni Dar se bain kar rahi hai
juda hai tu hum se jaane kya hoga haal tera
ye ek Tahni hai mera maskan na chhin mujh se
hawa-e-sarkash junub tera shumal tera
jo sabz patte the Dhaal teri wo jhaD gae hain
salib-shaKHon pe jhulta hai zawal tera
lahu ki kirnon se shab ko chhalni kiya hai tu ne
rahega suraj ki tarah raushan kamal tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.