har ek lamha meri aag mein guzare koi
har ek lamha mirī aag meñ guzāre koī
phir us ke ba.ad mujhe ishq meñ utāre koī
maiñ apnī guuñj ko mahsūs karnā chāhtā huuñ
utar ke mujh meñ mujhe zor se pukāre koī
ab aarzū hai vo har shai meñ jagmagāne lage
bas ek chehre meñ kab tak use nihāre koī
falak pe chāñd-sitāre Tañge haiñ sadiyoñ se
maiñ chāhtā huuñ zamīñ par inheñ utāre koī
hai dukh to kah do kisī peḌ se parinde se
ab aadmī kā bharosa nahīñ hai pyāre koī
har ek lamha meri aag mein guzare koi
phir us ke baad mujhe ishq mein utare koi
main apni gunj ko mahsus karna chahta hun
utar ke mujh mein mujhe zor se pukare koi
ab aarzu hai wo har shai mein jagmagane lage
bas ek chehre mein kab tak use nihaare koi
falak pe chand-sitare Tange hain sadiyon se
main chahta hun zamin par inhen utare koi
hai dukh to kah do kisi peD se parinde se
ab aadmi ka bharosa nahin hai pyare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.