har ek lamhe se har lamha puchhta hun main
har ek lamhe se har lamha pūchhtā huuñ maiñ
huuñ kitnī duur abhī kitnā aa gayā huuñ maiñ
mirī talāsh mukammal ho tū agar mil jaa.e
ki apne aap ko muddat se DhūñDhtā huuñ maiñ
ye nā-rasā.ī kā dukh bhī mujhe ajiib milā
ki tujh ko pā ke tujhī ko pukārtā huuñ maiñ
koī to hai jo mire ās-pās rahtā hai
vo mudda.ā hai mirā us kā mudda.ā huuñ maiñ
mirā uruuj bhī nisfunnahār jaisā thā
'qamar' zavāl bhī dekho ki Dūbtā huuñ maiñ
har ek lamhe se har lamha puchhta hun main
hun kitni dur abhi kitna aa gaya hun main
meri talash mukammal ho tu agar mil jae
ki apne aap ko muddat se DhunDhta hun main
ye na-rasai ka dukh bhi mujhe ajib mila
ki tujh ko pa ke tujhi ko pukarta hun main
koi to hai jo mere aas-pas rahta hai
wo muddaa hai mera us ka muddaa hun main
mera uruj bhi nisfunnahaar jaisa tha
'qamar' zawal bhi dekho ki Dubta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.