har ek pal se KHabar-dar rahna chahti hun
har ek pal se ḳhabar-dār rahnā chāhtī huuñ
nasīb tujh se maiñ hushiyār rahnā chāhtī huuñ
dikhe udaas jo us ko mirā pata denā
udāsiyoñ se vafādār rahnā chāhtī huuñ
tujhe na chaah ke bhī itnā chāhtī huuñ maiñ
tire dukhoñ kī gunahgār rahnā chāhtī huuñ
kabhī jo bichhḌeñ na dekhūñ tujhe zarā muḌ kar
maiñ ishq meñ bhī samajhdār rahnā chāhtī huuñ
tū mubtalā thā kahīñ aur so ye kah na sakī
mire sanam maiñ tirā pyaar rahnā chāhtī huuñ
tū har kisī kī mohabbat hai jāntī huuñ magar
maiñ tere ishq kā me.aar rahnā chāhtī huuñ
har ek pal se KHabar-dar rahna chahti hun
nasib tujh se main hushiyar rahna chahti hun
dikhe udas jo us ko mera pata dena
udasiyon se wafadar rahna chahti hun
tujhe na chah ke bhi itna chahti hun main
tere dukhon ki gunahgar rahna chahti hun
kabhi jo bichhDen na dekhun tujhe zara muD kar
main ishq mein bhi samajhdar rahna chahti hun
tu mubtala tha kahin aur so ye kah na saki
mere sanam main tera pyar rahna chahti hun
tu har kisi ki mohabbat hai jaanti hun magar
main tere ishq ka mear rahna chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.