har ek pe ye raaz bhi ifsha nahin hota
har ek pe ye raaz bhī ifshā nahīñ hotā
achchhā jo nazar aatā hai achchhā nahīñ hotā
rote ho bhalā kis liye jab jānte ho tum
ye ishq hai is ishq meñ kyā kyā nahīñ hotā
ummīd ravā rakhte ho har ek se kyūñkar
har shaḳhs zamāne meñ masīhā nahīñ hotā
kartā hai jo har baat pe sachchā.ī kā da.avā
sach baat to ye hai ki vo sachchā nahīñ hotā
yādoñ ke shabistān meñ baiThā huā saa.il
tanhā jo nazar aatā hai tanhā nahīñ hotā
har ek pe ye raaz bhi ifsha nahin hota
achchha jo nazar aata hai achchha nahin hota
rote ho bhala kis liye jab jaante ho tum
ye ishq hai is ishq mein kya kya nahin hota
ummid rawa rakhte ho har ek se kyunkar
har shaKHs zamane mein masiha nahin hota
karta hai jo har baat pe sachchai ka dawa
sach baat to ye hai ki wo sachcha nahin hota
yaadon ke shabistan mein baiTha hua sail
tanha jo nazar aata hai tanha nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.