har fasil-e-rah ko zer-o-zabar karte hue
har fasīl-e-rāh ko zer-o-zabar karte hue
maiñ yahāñ pahuñchā huuñ qarnoñ kā safar karte hue
tishnagī ab tak na sairābī kī manzil pā sakī
zindagī guzrī tavāf-e-bām-o-dar karte hue
bol ai bād-e-ḳhizāñ kyoñ aa gayā itnā jalāl
kuchh na sochā baaġh ko zer-o-zabar karte hue
jism saarā ban gayā ḳhūnīñ qabā kā aa.ina
ḳhār-zār-e-zindagī ko rahguzar karte hue
kitne mausam kitne roz-o-shab lahū karne paḌe
naḳhl-e-jāñ ko hāmil-e-barg-o-samar karte hue
ek lamha bhī nahīñ lagtā guloñ kī shāḳh ko
phuul se alfāz ko nazr-e-sharar karte hue
āsmāñ chhūne kī lālach meñ zamīñ par aa ga.e
josh maarā ḳhuun ne kohsār sar karte hue
naqsh-e-pā chhoḌe the pīchhe aane vāloñ ke liye
ḳhaak meñ gum ho ga.e lekin ḳhabar karte hue
har fasil-e-rah ko zer-o-zabar karte hue
main yahan pahuncha hun qarnon ka safar karte hue
tishnagi ab tak na sairabi ki manzil pa saki
zindagi guzri tawaf-e-baam-o-dar karte hue
bol ai baad-e-KHizan kyon aa gaya itna jalal
kuchh na socha bagh ko zer-o-zabar karte hue
jism sara ban gaya KHunin qaba ka aaina
KHar-zar-e-zindagi ko rahguzar karte hue
kitne mausam kitne roz-o-shab lahu karne paDe
naKHl-e-jaan ko hamil-e-barg-o-samar karte hue
ek lamha bhi nahin lagta gulon ki shaKH ko
phul se alfaz ko nazr-e-sharar karte hue
aasman chhune ki lalach mein zamin par aa gae
josh mara KHun ne kohsar sar karte hue
naqsh-e-pa chhoDe the pichhe aane walon ke liye
KHak mein gum ho gae lekin KHabar karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.