Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har fikr se begana-o-anjaan bana de

Sada Ambalvi

har fikr se begana-o-anjaan bana de

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

  har fikr se begāna-o-anjān banā de

  bachche tarah phir mujhe nādān banā de

  sultāñ hai banānā jise sultān banā de

  mujh ko to dar apne darbān banā de

  jis vaqt zarūrat ho maiñ ḳhud jhāñk ke paḌh luuñ

  dil ko mire gītā-o-qur.ān banā de

  mujh ko nahīñ ḳhvāhish ki farishta banūñ maulā

  is banda-e-nāchīz ko insān banā de

  hindū ho koī chāhe musalmān ho koī

  har shaḳhs ko sāhib-e-īmān banā de

  mar-mar ke ji.eñ kis liye bande tire maulā

  jiinā bhī zarā maut āsān banā de

  bande ko karā bande azmat ehsās

  phir se ise maḳhlūq shaan banā de

  shaitān kar ḳhatm duniyā se hukūmat

  dhartī ko jannat mire bhagvān banā de

  har fikr se begana-o-anjaan bana de

  bachche ki tarah phir mujhe nadan bana de

  sultan hai banana jise sultan bana de

  mujh ko to dar apne ka tu darban bana de

  jis waqt zarurat ho main KHud jhank ke paDh lun

  dil ko hi mere gita-o-quran bana de

  mujh ko nahin KHwahish ki farishta banun maula

  is banda-e-nachiz ko insan bana de

  hindu ho koi chahe musalman ho koi

  har shaKHs ko tu sahib-e-iman bana de

  mar-mar ke jien kis liye bande tere maula

  jina bhi zara maut sa aasan bana de

  bande ko kara bande ki azmat ka tu ehsas

  phir se ise maKHluq ki tu shan bana de

  shaitan ki kar KHatm tu duniya se hukumat

  dharti ko hi jannat mere bhagwan bana de

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Ghulam Abbas

  Ghulam Abbas

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now