har gali kuche mein lashkar dekho
har galī kūche meñ lashkar dekho
dosto shahr kā manzar dekho
ham na kahte the ki ghar jāoge
kis jagah pahuñche ho āḳhir dekho
kitnī ḳhush-hāl hai saarī duniyā
kitnā vīrān hai ye ghar dekho
band kamroñ meñ muqaffal logo!
khiḌkiyāñ khol ke bāhar dekho
kis tarah zinda haiñ ḳhush haiñ kitne
jaane vālo! kabhī aa kar dekho
har gali kuche mein lashkar dekho
dosto shahr ka manzar dekho
hum na kahte the ki ghar jaoge
kis jagah pahunche ho aaKHir dekho
kitni KHush-haal hai sari duniya
kitna viran hai ye ghar dekho
band kamron mein muqaffal logo!
khiDkiyan khol ke bahar dekho
kis tarah zinda hain KHush hain kitne
jaane walo! kabhi aa kar dekho
- Book : Pakistani Adab (Pg. 297)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.