har gali se har ek jawan nikle
har galī se har ik javāñ nikle
gar tirī aañkh mehrbāñ nikle
dil meñ bas ek baat rahtī hai
ho mulāqāt phir ye jaañ nikle
chubh rahā hai jigar meñ terā firāq
tū jo aa.e to ye sināñ nikle
jitnī tezī se tum nikaltī ho
utnī tezī se ham kahāñ nikle
baat nikle jo us kī ai 'haidar'
merī sāñso se hichkiyāñ nikle
har gali se har ek jawan nikle
gar teri aankh mehrban nikle
dil mein bas ek baat rahti hai
ho mulaqat phir ye jaan nikle
chubh raha hai jigar mein tera firaq
tu jo aae to ye sinan nikle
jitni tezi se tum nikalti ho
utni tezi se hum kahan nikle
baat nikle jo us ki ai 'haidar'
meri sanso se hichkiyan nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.