har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye
har ghaḌī chashm-e-ḳharīdār meñ rahne ke liye
kuchh hunar chāhiye bāzār meñ rahne ke liye
maiñ ne dekhā hai jo mardoñ kī tarah rahte the
masḳhare ban ga.e darbār meñ rahne ke liye
aisī majbūrī nahīñ hai ki chalūñ paidal maiñ
ḳhud ko garmātā huuñ raftār meñ rahne ke liye
ab to badnāmī se shohrat kā vo rishta hai ki log
nañge ho jaate haiñ aḳhbār meñ rahne ke liye
har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye
kuchh hunar chahiye bazar mein rahne ke liye
main ne dekha hai jo mardon ki tarah rahte the
masKHare ban gae darbar mein rahne ke liye
aisi majburi nahin hai ki chalun paidal main
KHud ko garmata hun raftar mein rahne ke liye
ab to badnami se shohrat ka wo rishta hai ki log
nange ho jate hain aKHbar mein rahne ke liye
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 100)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.