har ghaDi mujhko be-qarar na kar
har ghaḌī mujh ko be-qarār na kar
zindagī merī sogvār na kar
jis ke sāhil kā kuchh patā hī nahīñ
aisī kashtī ko iḳhtiyār na kar
be-ḳhudī merī be-ḳhudī na rahe
itnā ehsān ġham-gusār na kar
is qadar mujh pe iltifāt-o-karam
mere mohsin tū sharmsār na kar
paak kar le havas se dil pahle
kaun kahtā hai tujh ko pyaar na kar
apne vā'de kā rakh bharam ai dost
kisht-e-ummīd reg-zār na kar
ḳhair-ḳhvāhī ke naam par hargiz
mere 'aiboñ kā ishtihār na kar
aadmī hai to aadmī hī rah
ādmiyyat ko dāġhdār na kar
jo 'sahar' dil se bhuul baiThā ho
tazkira us kā baar baar na kar
har ghaDi mujh ko be-qarar na kar
zindagi meri sogwar na kar
jis ke sahil ka kuchh pata hi nahin
aisi kashti ko iKHtiyar na kar
be-KHudi meri be-KHudi na rahe
itna ehsan gham-gusar na kar
is qadar mujh pe iltifat-o-karam
mere mohsin tu sharmsar na kar
pak kar le hawas se dil pahle
kaun kahta hai tujh ko pyar na kar
apne wa'de ka rakh bharam ai dost
kisht-e-ummid reg-zar na kar
KHair-KHwahi ke nam par hargiz
mere 'aibon ka ishtihaar na kar
aadmi hai to aadmi hi rah
aadmiyyat ko daghdar na kar
jo 'sahar' dil se bhul baiTha ho
tazkira us ka bar bar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.