har haqiqat hai wahi KHwab-e-pareshan ki jo tha
har haqīqat hai vahī ḳhvāb-e-pareshāñ ki jo thā
jazba-e-dil hai vahī chāk-garebāñ ki jo thā
mah-jabīnoñ ko mile jaur ke andāz na.e
dil-figāroñ ko vahī dīda-e-hairāñ ki jo thā
haañ shahīdān-e-vafā sar pe kafan kaj hī rahe
dekhnā aaj bhī zālim hai pashemāñ ki jo thā
na masīhā na hī mansūr na farhād rahā
ab kahāñ raunaq-o-hangāma-e-yārāñ ki jo thā
ik taraf ūñchī imārāt haiñ zindāñ zindāñ
ik taraf ghar he mirā dasht-o-bayābāñ ki jo thā
har haqiqat hai wahi KHwab-e-pareshan ki jo tha
jazba-e-dil hai wahi chaak-gareban ki jo tha
mah-jabinon ko mile jaur ke andaz nae
dil-figaron ko wahi dida-e-hairan ki jo tha
han shahidan-e-wafa sar pe kafan kaj hi rahe
dekhna aaj bhi zalim hai pasheman ki jo tha
na masiha na hi mansur na farhad raha
ab kahan raunaq-o-hangama-e-yaran ki jo tha
ek taraf unchi imaraat hain zindan zindan
ek taraf ghar he mera dasht-o-bayaban ki jo tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.