har harf-e-arzu pe kare tha wo yar bahs
har harf-e-ārzū pe kare thā vo yaar bahs
ek ek baat par thī use shab hazār bahs
laa.e hai khīñch ārzū-e-zaḳhm duur se
kaho vaar par na qātil ḳhanjar-guzār bahs
hairat-zadoñ ko mahfil-e-tasvīr kī tarah
ne hai shi.ār-e-ramz-o-kināya na kār-e-bahs
yā zikr-e-dost yā hai zabāñ par hadīs-e-ishq
juuñ ahl-e-madarsa nahīñ apnā shi.ār bahs
takrār se dil apnā jo māñgā kahā ki chal
miltā hai koī ye na abas baar baar bahs
kiije agar gila to taraf-dār yaar ho
aap hī lagā.e mujh se dil-e-be-qarār bahs
'mamnūñ' mujhe nasīhat-e-sā.ib ye yaad hai
tā sulh mumkin ast makun zīnhār bahs
har harf-e-arzu pe kare tha wo yar bahs
ek ek baat par thi use shab hazar bahs
lae hai khinch aarzu-e-zaKHm dur se
kaho war par na qatil KHanjar-guzar bahs
hairat-zadon ko mahfil-e-taswir ki tarah
ne hai shiar-e-ramz-o-kinaya na kar-e-bahs
ya zikr-e-dost ya hai zaban par hadis-e-ishq
jun ahl-e-madarsa nahin apna shiar bahs
takrar se dil apna jo manga kaha ki chal
milta hai koi ye na abas bar bar bahs
kije agar gila to taraf-dar yar ho
aap hi lagae mujh se dil-e-be-qarar bahs
'mamnun' mujhe nasihat-e-saib ye yaad hai
ta sulh mumkin ast makun zinhaar bahs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.