har ek dard-o-gham ki dawa ho gae
har ik dard-o-ġham kī davā ho ga.e
mire dil kā vo mudda.ā ho ga.e
jo lab par the naale rasā ho ga.e
mire haq meñ paiham duā ho ga.e
idhar jazb-e-dil kāmrāñ ho gayā
udhar un ke va.ade vafā ho ga.e
tirī yaad meñ gum hue is qadar
har ik qaid-e-ġham se rihā ho ga.e
kisī ġham ko bhī jo na ḳhātir meñ laa.e
tire ġham meñ vo mubtalā ho ga.e
mire ġham kā afsāna sun sun ke vo
ġhanīmat hai dard-āshnā ho ga.e
vahī zaḳhm jo dil pe the ai 'kañval'
guloñ kī tarah ḳhush-numā ho ga.e
har ek dard-o-gham ki dawa ho gae
mere dil ka wo muddaa ho gae
jo lab par the nale rasa ho gae
mere haq mein paiham dua ho gae
idhar jazb-e-dil kaamran ho gaya
udhar un ke wade wafa ho gae
teri yaad mein gum hue is qadar
har ek qaid-e-gham se riha ho gae
kisi gham ko bhi jo na KHatir mein lae
tere gham mein wo mubtala ho gae
mere gham ka afsana sun sun ke wo
ghanimat hai dard-ashna ho gae
wahi zaKHm jo dil pe the ai 'kanwal'
gulon ki tarah KHush-numa ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.