har ek faisla usne behtar kiya
har ik faisla us ne behtar kiyā
mujhe aañkh dī tum ko manzar kiyā
dil-e-ḳhūñ-chakīda munavvar kiyā
to āñkhoñ kā sahrā samundar kiyā
lakīroñ ko raushan sitāre diye
sitāroñ ko apnā muqaddar kiyā
vahīñ Dūbne kā yaqīñ aa gayā
jahāñ us ne ham ko shanāvar kiyā
ujālā nafī hai jab us ne kahā
añdhere meñ the ham ne bāvar kiyā
har ek faisla us ne behtar kiya
mujhe aankh di tum ko manzar kiya
dil-e-KHun-chakida munawwar kiya
to aankhon ka sahra samundar kiya
lakiron ko raushan sitare diye
sitaron ko apna muqaddar kiya
wahin Dubne ka yaqin aa gaya
jahan us ne hum ko shanawar kiya
ujala nafi hai jab us ne kaha
andhere mein the hum ne bawar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.