har ek gam par hadisa ham-safar hai
har ik gaam par hādisa ham-safar hai
kaThin kis qadar zindagī kī Dagar hai
kaTe kaise afsurda tāroñ kī lau meñ
bahut hī bhayānak rutoñ kā safar hai
bhalā kyuuñ na uljhe vo sāñsoñ se apnī
pareshān ḳhud se jo koī bashar hai
haiñ aise meñ vīrāniyāñ dil kī lāzim
shajar ārzūoñ kā jab be-samar hai
hai 'robīna' kā tajraba ye barābar
ki uljhā huā zindagī kā safar hai
har ek gam par hadisa ham-safar hai
kaThin kis qadar zindagi ki Dagar hai
kaTe kaise afsurda taron ki lau mein
bahut hi bhayanak ruton ka safar hai
bhala kyun na uljhe wo sanson se apni
pareshan KHud se jo koi bashar hai
hain aise mein viraniyan dil ki lazim
shajar aarzuon ka jab be-samar hai
hai 'robina' ka tajraba ye barabar
ki uljha hua zindagi ka safar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.