har ek hazar mein bas panch sat hain hum log
har ik hazār meñ bas pāñch saat haiñ ham log
nisāb-e-ishq pe vājib zakāt haiñ ham log
dabāo meñ bhī jamā.at kabhī nahīñ badlī
shurūa din se mohabbat ke saath haiñ ham log
jo sīkhnī ho zabān-e-sukūt bismillāh
ḳhamoshiyoñ kī mukammal luġhāt haiñ ham log
kahāniyoñ ke vo kirdār jo likhe na ga.e
ḳhabar se hazf-shuda vāqi.āt haiñ ham log
ye intizār hameñ dekh kar banāyā gayā
zuhūr-e-hijr se pahle kī baat haiñ ham log
kisī ko rāsta de deñ kisī ko paanī na deñ
kahīñ pe niil kahīñ par furāt haiñ ham log
hameñ jalā ke koī shab guzār saktā hai
saḌak pe bikhre hue kāġhzāt haiñ ham log
har ek hazar mein bas panch sat hain hum log
nisab-e-ishq pe wajib zakat hain hum log
dabao mein bhi jamaat kabhi nahin badli
shurua din se mohabbat ke sath hain hum log
jo sikhni ho zaban-e-sukut bismillah
KHamoshiyon ki mukammal lughat hain hum log
kahaniyon ke wo kirdar jo likhe na gae
KHabar se hazf-shuda waqiat hain hum log
ye intizar hamein dekh kar banaya gaya
zuhur-e-hijr se pahle ki baat hain hum log
kisi ko rasta de den kisi ko pani na den
kahin pe nil kahin par furaat hain hum log
hamein jala ke koi shab guzar sakta hai
saDak pe bikhre hue kaghzat hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.