har ek insan farishta ho to kya ho
har ik insāñ farishta ho to kyā ho
agar duniyā meñ aisā ho to kyā ho
sabhī ko ek din marnā hai lekin
mirā qātil masīhā ho to kyā ho
javānī meñ kisī muflis kī beTī
suhāgan ban ke beva ho to kyā ho
jahāñ rahzan kā Dar ho kārvāñ ko
vahīñ jā kar añdherā ho to kyā ho
jahāñ ke log sab andhe hoñ 'tā'zīm'
vahāñ sūraj nikaltā ho to kyā ho
har ek insan farishta ho to kya ho
agar duniya mein aisa ho to kya ho
sabhi ko ek din marna hai lekin
mera qatil masiha ho to kya ho
jawani mein kisi muflis ki beTi
suhagan ban ke bewa ho to kya ho
jahan rahzan ka Dar ho karwan ko
wahin ja kar andhera ho to kya ho
jahan ke log sab andhe hon 'ta'zim'
wahan suraj nikalta ho to kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.