har ek jaanib un aankhon ka ishaara ja raha hai
har ik jānib un āñkhoñ kā ishāra jā rahā hai
hameñ kin imtihānoñ se guzārā jā rahā hai
kināre ko bachā.ūñ to nadī jaatī hai mujh se
nadī ko thāmtā huuñ to kinārā jā rahā hai
maiñ Duubā jā rahā huuñ un sadāoñ ke bhañvar meñ
mujhe ab chāroñ jānib se pukārā jā rahā hai
ta.āqub mat karo us ke badan kī raushnī kā
ki ye to sirf us kā isti.āra jā rahā hai
ye saarā khel fat.h-e-shāh kā hai jis kī ḳhātir
pyādoñ jaise insānoñ ko haarā jā rahā hai
ab us ruḳhsār kā til hai alāmat us bhañvar kī
jahāñ saarā samarqand-o-buḳhārā jā rahā hai
mire ash.ār haiñ vo āsmānī ḳhvāb jin ko
mirī miTTī ke hoñThoñ par utārā jā rahā hai
vahīñ chashm-o-lab-o-ruḳhsār bhī jaate haiñ us ke
jahāñ ye husn kā saarā idāra jā rahā hai
maiñ sāhil ho gayā huuñ jab se vo dariyā huā hai
nazar Thahrī huī hai aur nazārā jā rahā hai
to kyā ye vasl kī shab hai ki jab ghar se bichhaḌ ke
na jaane kis ke ghar merā sitārā jā rahā hai
alam-bardār tanhā.ī thā apnā 'farhat-ehsās'
hujūm-e-shahr ke hāthoñ jo maarā jā rahā hai
har ek jaanib un aankhon ka ishaara ja raha hai
hamein kin imtihanon se guzara ja raha hai
kinare ko bachaun to nadi jati hai mujh se
nadi ko thamta hun to kinara ja raha hai
main Duba ja raha hun un sadaon ke bhanwar mein
mujhe ab chaaron jaanib se pukara ja raha hai
taaqub mat karo us ke badan ki raushni ka
ki ye to sirf us ka istiara ja raha hai
ye sara khel fath-e-shah ka hai jis ki KHatir
pyaadon jaise insanon ko haara ja raha hai
ab us ruKHsar ka til hai alamat us bhanwar ki
jahan sara samarqand-o-buKHara ja raha hai
mere ashaar hain wo aasmani KHwab jin ko
meri miTTi ke honThon par utara ja raha hai
wahin chashm-o-lab-o-ruKHsar bhi jate hain us ke
jahan ye husn ka sara idara ja raha hai
main sahil ho gaya hun jab se wo dariya hua hai
nazar Thahri hui hai aur nazara ja raha hai
to kya ye wasl ki shab hai ki jab ghar se bichhaD ke
na jaane kis ke ghar mera sitara ja raha hai
alam-bardar tanhai tha apna 'farhat-ehsas'
hujum-e-shahr ke hathon jo mara ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.