har ek kitab nujumi ghalat batata hai
har ik kitāb nujūmī ġhalat batātā hai
mirī hayāt kā jab zā.icha banātā hai
kisī havelī meñ jab vahshateñ panaptī haiñ
badan pe sabza-e-nau-rasta lahlahātā hai
hamārī niiñd meñ girdāb banñe lagte haiñ
udaas kamra ajab qahqahe lagātā hai
muhīb tiira guphā meñ badan hai sahmā huā
bas ek jugnū hai jo hausla baḌhātā hai
na jaane kitne na.e ḳhauf Dasne lagte haiñ
vo mujh se milne kā jab silsila baḌhātā hai
use harīf kaho vasl-rut ke naġhmoñ kā
daraḳht se jo parinde uḌaa.e jaatā hai
har ek kitab nujumi ghalat batata hai
meri hayat ka jab zaicha banata hai
kisi haweli mein jab wahshaten panapti hain
badan pe sabza-e-nau-rasta lahlahata hai
hamari nind mein girdab banne lagte hain
udas kamra ajab qahqahe lagata hai
muhib tera gupha mein badan hai sahma hua
bas ek jugnu hai jo hausla baDhata hai
na jaane kitne nae KHauf Dasne lagte hain
wo mujh se milne ka jab silsila baDhata hai
use harif kaho wasl-rut ke naghmon ka
daraKHt se jo parinde uDae jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.