har ek lab par KHamoshi ki sada thi
har ik lab par ḳhamoshī kī sadā thī
duāoñ meñ badaltī sī havā thī
kushāda phailte āñgan diloñ ke
sabhī ke vāste ghar meñ jagah thī
jise samjhe hue the raushnī ham
kisī maañ kī parī jaisī duā thī
jo bachchī kheltī thī nañge pairoñ
vo pahlī rut kī hī jaise ghaTā thī
ratan jaanā thā jis ko manthanoñ kā
ghaḌī vo zindagī bhar kī sazā thī
bhañvar the dā.eroñ ke āsmāñ meñ
ye gardish ek nuqte kī ḳhatā thī
har ek lab par KHamoshi ki sada thi
duaon mein badalti si hawa thi
kushada phailte aangan dilon ke
sabhi ke waste ghar mein jagah thi
jise samjhe hue the raushni hum
kisi man ki pari jaisi dua thi
jo bachchi khelti thi nange pairon
wo pahli rut ki hi jaise ghaTa thi
ratan jaana tha jis ko manthanon ka
ghaDi wo zindagi bhar ki saza thi
bhanwar the daeron ke aasman mein
ye gardish ek nuqte ki KHata thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.