har ek rasta andheron mein ghira hai
har ik rasta añdheroñ meñ ghirā hai
mohabbat ik zarūrī hādisa hai
garajtī āñdhiyāñ zaa.e.a huī haiñ
zamīñ pe TuuT ke aañsū girā hai
nikal aa.e kidhar manzil kī dhun meñ
yahāñ to rāsta hī rāsta hai
duā ke haath patthar ho ga.e haiñ
ḳhudā har zehn meñ TuuTā paḌā hai
tumhārā tajraba shāyad alag ho
mujhe to ilm ne bhaTkā diyā hai
har ek rasta andheron mein ghira hai
mohabbat ek zaruri hadisa hai
garajti aandhiyan zaea hui hain
zamin pe TuT ke aansu gira hai
nikal aae kidhar manzil ki dhun mein
yahan to rasta hi rasta hai
dua ke hath patthar ho gae hain
KHuda har zehn mein TuTa paDa hai
tumhaara tajraba shayad alag ho
mujhe to ilm ne bhaTka diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.