har ek shai mein kami rakhi gai hai
har ik shai meñ kamī rakhī ga.ī hai
aañkh meñ yuuñ namī rakhī ga.ī hai
sochtā huuñ ki us sarāpe meñ
kis qadar sādgī rakhī ga.ī hai
maut se sab gurez karte haiñ
is liye zindagī rakhī ga.ī hai
chāñd kī chāñdnī se tañg aa kar
us ke lab par hañsī rakhī ga.ī hai
merī jānib bhī ik nazar us kī
haañ mirī baat bhī rakhī ga.ī hai
mere saare kalām rakkhe ga.e
us kī bas ḳhāmushī rakhī ga.ī hai
din to maiñ kaaT luuñ magar irfān
hijr meñ raat bhī rakhī ga.ī hai
har ek shai mein kami rakhi gai hai
aankh mein yun nami rakhi gai hai
sochta hun ki us sarape mein
kis qadar sadgi rakhi gai hai
maut se sab gurez karte hain
is liye zindagi rakhi gai hai
chand ki chandni se tang aa kar
us ke lab par hansi rakhi gai hai
meri jaanib bhi ek nazar us ki
han meri baat bhi rakhi gai hai
mere sare kalam rakkhe gae
us ki bas KHamushi rakhi gai hai
din to main kaT lun magar irfan
hijr mein raat bhi rakhi gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.