har ek tahrir nafrat ki miTana chahta hun main
har ik tahrīr nafrat kī miTānā chāhtā huuñ maiñ
mohabbat hī mohabbat kā fasāna chāhtā huuñ maiñ
fasīleñ nafratoñ kī sab girānā chāhtā huuñ maiñ
amīr-e-shahr kā lekin ishāra chāhtā huuñ maiñ
añdherī raat meñ sūraj ugānā chāhtā huuñ maiñ
charāġhoñ meñ lahū apnā jalānā chāhtā huuñ maiñ
falak chhūte makānoñ kī havas tum ko mubārak ho
faqat sar ko chhupāne kā Thikāna chāhtā huuñ maiñ
fasādoñ se kisī bhī qaum ko azmat nahīñ miltī
amīr-e-qaum ko itnā batānā chāhtā huuñ maiñ
na.ī tahzīb kā koī gila-shikva nahīñ mujh ko
magar apne buzurgoñ kā zamāna chāhtā huuñ maiñ
koī sūrat nahīñ hālāt ke tabdīl hone kī
agarche khul ke hañsnā muskurānā chāhtā huuñ maiñ
jahāñ 'ejāz' har chehre pe shādābī nazar aa.e
vahī mausam vahī manzar suhānā chāhtā huuñ maiñ
har ek tahrir nafrat ki miTana chahta hun main
mohabbat hi mohabbat ka fasana chahta hun main
fasilen nafraton ki sab girana chahta hun main
amir-e-shahr ka lekin ishaara chahta hun main
andheri raat mein suraj ugana chahta hun main
charaghon mein lahu apna jalana chahta hun main
falak chhute makanon ki hawas tum ko mubarak ho
faqat sar ko chhupane ka Thikana chahta hun main
fasadon se kisi bhi qaum ko azmat nahin milti
amir-e-qaum ko itna batana chahta hun main
nai tahzib ka koi gila-shikwa nahin mujh ko
magar apne buzurgon ka zamana chahta hun main
koi surat nahin haalat ke tabdil hone ki
agarche khul ke hansna muskurana chahta hun main
jahan 'ejaz' har chehre pe shadabi nazar aae
wahi mausam wahi manzar suhana chahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.