har ek yaqin ko dekha guman hote hue
har ik yaqīn ko dekhā gumān hote hue
rahī yuuñ baat adhūrī bayān hote hue
hai merā chāñd mire vāste hī utrā jo
zamīñ pe rahtā hai vo āsmān rahte hue
ab aur kaun sā rahbar dikhā.egā rasta
bhaTak rahe haiñ musalmāñ qur.ān hote hue
vo panchhī yuuñ bhī shikārī kī zad pe aa.egā
sameT le jo paroñ ko uḌaan hote hue
kabhī bhī aañkh meñ rakhnā na rāz-e-dil koī
karegī baat ayaañ be-zabān hote hue
ham āshiqoñ kī ye hujjat ajiib hotī hai
kisī ke pyaar meñ marte haiñ jaan hote hue
bajā rahā hai bahut vaqt ghanTiyāñ 'jauhar'
hamī na sun sakeñ āvāz kaan hote hue
har ek yaqin ko dekha guman hote hue
rahi yun baat adhuri bayan hote hue
hai mera chand mere waste hi utra jo
zamin pe rahta hai wo aasman rahte hue
ab aur kaun sa rahbar dikhaega rasta
bhaTak rahe hain musalman quran hote hue
wo panchhi yun bhi shikari ki zad pe aaega
sameT le jo paron ko uDan hote hue
kabhi bhi aankh mein rakhna na raaz-e-dil koi
karegi baat ayan be-zaban hote hue
hum aashiqon ki ye hujjat ajib hoti hai
kisi ke pyar mein marte hain jaan hote hue
baja raha hai bahut waqt ghanTiyan 'jauhar'
hami na sun saken aawaz kan hote hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.