har insan apne hone ki saza hai
har insāñ apne hone kī sazā hai
bhare bāzār meñ tanhā khaḌā hai
na.e darbānoñ ke pahre biThāo
hujūm-e-dard baḌhtā jā rahā hai
rahe ham hī jo har patthar kī zad meñ
hamārī sar-bulandī kī ḳhatā hai
mahakte gesuoñ kī raat guzrī
savā neze pe ab sūraj khaḌā hai
mire ḳhvāboñ kī chiknī sīḌhiyoñ par
na jaane kis kā but TuuTā paḌā hai
vo shole hoñ lahū ho hādse hoñ
mirī hī zindagī par tabsira hai
tirī zulfeñ to haiñ badnām yūñhī
mujhe din ke ujāloñ ne Dasā hai
chalo chupke se kuchh but aur rakh aa.eñ
dar-e-kāba abhī shāyad khulā hai
utar kar to fasīl-e-shab se dekho
sahar ne ḳhud-kushī kar lī sunā hai
abhī tāq-e-tasavvur par 'na.īmī'
charāġh-e-lazzat-e-shab jal rahā hai
har insan apne hone ki saza hai
bhare bazar mein tanha khaDa hai
nae darbanon ke pahre biThao
hujum-e-dard baDhta ja raha hai
rahe hum hi jo har patthar ki zad mein
hamari sar-bulandi ki KHata hai
mahakte gesuon ki raat guzri
sawa neze pe ab suraj khaDa hai
mere KHwabon ki chikni siDhiyon par
na jaane kis ka but TuTa paDa hai
wo shole hon lahu ho hadse hon
meri hi zindagi par tabsira hai
teri zulfen to hain badnam yunhi
mujhe din ke ujalon ne Dasa hai
chalo chupke se kuchh but aur rakh aaen
dar-e-kaba abhi shayad khula hai
utar kar to fasil-e-shab se dekho
sahar ne KHud-kushi kar li suna hai
abhi taq-e-tasawwur par 'naimi'
charagh-e-lazzat-e-shab jal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.