har ishq karne wala ye kahta hua mila
har ishq karne vaalā ye kahtā huā milā
paanī milā pe ret pe phailā huā milā
ik rang muskurātī musavvir kī laash par
tasvīr ke baġhal meñ sisaktā huā milā
mujh ko davā jo DhūñDhnā thī mil ga.ī mujhe
tujh ko jo zaḳhm DhūñDhnā thā kyā huā milā
pahle se ro chukī huiiñ āñkheñ milīñ mujhe
ya.anī ke ḳhvāb jo milā TuuTā huā milā
lauTe jo ghar muñDer pe sahmā sā ik charāġh
mujh se havā-e-shām se bachtā huā milā
har ishq karne wala ye kahta hua mila
pani mila pe ret pe phaila hua mila
ek rang muskuraati musawwir ki lash par
taswir ke baghal mein sisakta hua mila
mujh ko dawa jo DhunDhna thi mil gai mujhe
tujh ko jo zaKHm DhunDhna tha kya hua mila
pahle se ro chuki huin aankhen milin mujhe
yani ke KHwab jo mila TuTa hua mila
lauTe jo ghar munDer pe sahma sa ek charagh
mujh se hawa-e-sham se bachta hua mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.