har jaanib se aae patthar
har jānib se aa.e patthar
ashk āñkhoñ meñ laa.e patthar
izn milā jab goyā.ī kā
ham bole aur khaa.e patthar
jab bhī kuue yaar ko nikle
istiqbāl ko aa.e patthar
kaisī ye taqrīb hai yaaro
tohfe meñ tum laa.e patthar
jab logoñ se meñ uktāyā
apne miit banā.e patthar
toḌ bhī detā hai ye 'nāqid'
lekin TuuT bhī jaa.e patthar
har jaanib se aae patthar
ashk aankhon mein lae patthar
izn mila jab goyai ka
hum bole aur khae patthar
jab bhi kue yar ko nikle
istiqbaal ko aae patthar
kaisi ye taqrib hai yaro
tohfe mein tum lae patthar
jab logon se mein uktaya
apne mit banae patthar
toD bhi deta hai ye 'naqid'
lekin TuT bhi jae patthar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.