har jagah nazar aaya sahib-e-nazar tanha
har jagah nazar aaya sāhib-e-nazar tanhā
qalb meñ sadaf ke bhī dekhā hai guhar tanhā
bujh sakegī kitnoñ kī pyaas ḳhuun se mere
be-shumār teġheñ haiñ aur merā sar tanhā
faiz kuchh tirā bhī thā baḳhshish-e-junūñ bhī thī
ik hujūm thā pīchhe ham chale jidhar tanhā
mehr-o-mah khilā.e be-intihā se rishta hai
kyoñ samajhtā hai apne aap ko bashar tanhā
sair chāñd tāroñ kī sāthiyoñ mubārak ho
rah gayā qafas meñ ab maiñ shikasta-par tanhā
ek apnā aalam ḳhud hai banā liyā ham ne
saath meñ rahī duniyā ham rahe magar tanhā
thī salīb kāñdhoñ par jā rahe the maqtal ko
saath the bahut apne sab rahe magar tanhā
manzileñ judā sab kī rahguzar alag sab ke
rah gayā hai duniyā meñ apnī har bashar tanhā
kis ko fikr thī merī narġha-e-havādis meñ
muztarib dikhā.ī dī terī ik nazar tanhā
har jagah nazar aaya sahib-e-nazar tanha
qalb mein sadaf ke bhi dekha hai guhar tanha
bujh sakegi kitnon ki pyas KHun se mere
be-shumar teghen hain aur mera sar tanha
faiz kuchh tera bhi tha baKHshish-e-junun bhi thi
ek hujum tha pichhe hum chale jidhar tanha
mehr-o-mah khilae be-intiha se rishta hai
kyon samajhta hai apne aap ko bashar tanha
sair chand taron ki sathiyon mubarak ho
rah gaya qafas mein ab main shikasta-par tanha
ek apna aalam KHud hai bana liya hum ne
sath mein rahi duniya hum rahe magar tanha
thi salib kandhon par ja rahe the maqtal ko
sath the bahut apne sab rahe magar tanha
manzilen juda sab ki rahguzar alag sab ke
rah gaya hai duniya mein apni har bashar tanha
kis ko fikr thi meri nargha-e-hawadis mein
muztarib dikhai di teri ek nazar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.