har jalwa-e-husn be-watan hai
har jalva-e-husn be-vatan hai
shāyad ki ye mahfil-e-suḳhan hai
ik vajd meñ jism-o-jān-e-fankār
hai raqs ki ruuh kā badan hai
har fikr misāl-e-chehra raushan
har sher meñ bū-e-pairahan hai
kāfūr kī sham.eñ jal uThī haiñ
iblāġh ḳhayāl kā kafan hai
har saaz kī aarzū takallum
har saaz sukūt-e-pairahan hai
har jalwa-e-husn be-watan hai
shayad ki ye mahfil-e-suKHan hai
ek wajd mein jism-o-jaan-e-fankar
hai raqs ki ruh ka badan hai
har fikr misal-e-chehra raushan
har sher mein bu-e-pairahan hai
kafur ki shamen jal uThi hain
iblagh KHayal ka kafan hai
har saz ki aarzu takallum
har saz sukut-e-pairahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.