har kaThin moD pe bante hain sahaare mere
har kaThin moḌ pe bante haiñ sahāre mere
dost achchhe haiñ suno saare ke saare mere
ye alag baat ki kuchh kar nahīñ pā.eñge magar
raat kī raah to rokeñge sitāre mere
kahīñ sarsoñ kā talātum kahīñ kaahū kā sukūt
ek se ek haiñ gaañv ke nazāre mere
shab samajhtī hai mirī baat kī saarī parteñ
din pe khul hī nahīñ paate haiñ ishāre mere
ek hī tarah se jo sochte haiñ ham donoñ
ek se dard haiñ ya.anī ki tumhāre mere
har kaThin moD pe bante hain sahaare mere
dost achchhe hain suno sare ke sare mere
ye alag baat ki kuchh kar nahin paenge magar
raat ki rah to rokenge sitare mere
kahin sarson ka talatum kahin kahu ka sukut
ek se ek hain ganw ke nazare mere
shab samajhti hai meri baat ki sari parten
din pe khul hi nahin pate hain ishaare mere
ek hi tarah se jo sochte hain hum donon
ek se dard hain yani ki tumhaare mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.