har KHwab ke makan ko mismar kar diya hai
har ḳhvāb ke makāñ ko mismār kar diyā hai
behtar dinoñ kā aanā dushvār kar diyā hai
vo dasht ho ki bastī saaya sukūt kā hai
jādū-asar suḳhan ko bekār kar diyā hai
gird-o-navāh-e-dil meñ ḳhauf-o-hirās itnā
pahle kabhī nahīñ thā is baar kar diyā hai
kal aur saath sab ke is paar ham khaḌe the
ik pal meñ ham ko kis ne us paar kar diyā hai
pā-e-junūñ pe kaisī uftād aa paḌī hai
aglī masāfatoñ se inkār kar diyā hai
har KHwab ke makan ko mismar kar diya hai
behtar dinon ka aana dushwar kar diya hai
wo dasht ho ki basti saya sukut ka hai
jadu-asar suKHan ko bekar kar diya hai
gird-o-nawah-e-dil mein KHauf-o-hiras itna
pahle kabhi nahin tha is bar kar diya hai
kal aur sath sab ke is par hum khaDe the
ek pal mein hum ko kis ne us par kar diya hai
pa-e-junun pe kaisi uftad aa paDi hai
agli masafaton se inkar kar diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.