har kisi ki yahi ek kahani mili
har kisī kī yahī ik kahānī milī
DhūñDhī ḳhushiyāñ to ġham kī nishānī milī
ḳhauf se shahr sahme mile the sabhī
ġham-zada un meñ un kī javānī milī
ek arsa huā jo na hañs ke mile
hañstī tasvīr un kī purānī milī
ham rahe bad-duā se sadā be-asar
ham ko maañ kī duā āsmānī milī
roTī do thī to ik bhūke se baañT lī
ham ko tahzīb ye ḳhāndānī milī
har kisi ki yahi ek kahani mili
DhunDhi KHushiyan to gham ki nishani mili
KHauf se shahr sahme mile the sabhi
gham-zada un mein un ki jawani mili
ek arsa hua jo na hans ke mile
hansti taswir un ki purani mili
hum rahe bad-dua se sada be-asar
hum ko man ki dua aasmani mili
roTi do thi to ek bhuke se banT li
hum ko tahzib ye KHandani mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.