har kisi kun guzar-e-ishq mein aanan mushkil
har kisī kuuñ guzar-e-ishq meñ ānāñ mushkil
raah sīdhī hai vale raah kuuñ pānāñ mushkil
kis tarah kījiye fikr-e-sharar-afshāni-e-ashk
jab ki paanī meñ lagī aag bujhānāñ mushkil
ḳhuub lagtī hai tire chīra-e-nukdār kī saj
jis tarah dil meñ chubhī hai so batānāñ mushkil
phuul mere kuuñ agar phuul kahūñ bhūle siiñ
phuul kuuñ phuul ke phūloñ meñ samānāñ mushkil
ātishīñ-rū siiñ nihāñ kyūñki rakhūñ soz-e-jigar
jaan jaatā hai 'sirāj' ab to chhupānāñ mushkil
har kisi kun guzar-e-ishq mein aanan mushkil
rah sidhi hai wale rah kun panan mushkil
kis tarah kijiye fikr-e-sharar-afshani-e-ashk
jab ki pani mein lagi aag bujhanan mushkil
KHub lagti hai tere chira-e-nukdar ki saj
jis tarah dil mein chubhi hai so batanan mushkil
phul mere kun agar phul kahun bhule sin
phul kun phul ke phulon mein samanan mushkil
aatishin-ru sin nihan kyunki rakhun soz-e-jigar
jaan jata hai 'siraj' ab to chhupanan mushkil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.