har kisi se na ehtiraaz karo
har kisī se na ehtirāz karo
dost dushman meñ imtiyāz karo
ġhair apne kabhī nahīñ hote
kyuuñ unheñ āshnā-e-rāz karo
jab kisī dil meñ ghar banānā ho
pahle nazroñ se sāz-bāz karo
tum kahāñ vo nigah-e-nāz kahāñ
apnī ḳhush-fahmiyoñ pe naaz karo
sarfarāzī ise nahīñ kahte
sarfarāzoñ ko sarfarāz karo
kyā taqāze haiñ vaqt ke 'sarshār'
soz ko āshnā-e-sāz karo
har kisi se na ehtiraaz karo
dost dushman mein imtiyaz karo
ghair apne kabhi nahin hote
kyun unhen aashna-e-raaz karo
jab kisi dil mein ghar banana ho
pahle nazron se saz-baz karo
tum kahan wo nigah-e-naz kahan
apni KHush-fahmiyon pe naz karo
sarfaraazi ise nahin kahte
sarfaraazon ko sarfaraaz karo
kya taqaze hain waqt ke 'sarshaar'
soz ko aashna-e-saz karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.