har lafz aur lafz ki tafsir ban gaya
har lafz aur lafz kī tafsīr ban gayā
yuuñ guftugū kā silsila zanjīr ban gayā
ab aur kyā subūt vafā-dāriyoñ kā duuñ
dekhā jo us ne ḳhvāb meñ ta.abīr ban gayā
us kī taraf se tīr-e-malāmat kā ruḳh haTe
maiñ bazm biich lā.eq-e-tāzīr ban gayā
khultā kahāñ ye raaz bhalā us hujūm meñ
lekin maiñ us ko dekh ke tasvīr ban gayā
paḌte rahe haiñ pech sadā rāh-e-ishq meñ
tadbīr ban ga.ī to vo taqdīr ban gayā
har lafz aur lafz ki tafsir ban gaya
yun guftugu ka silsila zanjir ban gaya
ab aur kya subut wafa-dariyon ka dun
dekha jo us ne KHwab mein tabir ban gaya
us ki taraf se tir-e-malamat ka ruKH haTe
main bazm bich laeq-e-tazir ban gaya
khulta kahan ye raaz bhala us hujum mein
lekin main us ko dekh ke taswir ban gaya
paDte rahe hain pech sada rah-e-ishq mein
tadbir ban gai to wo taqdir ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.