Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har lafz hai nawishta-e-diwar ki tarah

Iqbal Khalish

har lafz hai nawishta-e-diwar ki tarah

Iqbal Khalish

MORE BYIqbal Khalish

    har lafz hai navishta-e-dīvār tarah

    sach boltā hai vo mire ash.ār tarah

    maañ hai aziim nuur ke mīnār tarah

    ġhussa kar rahī hai magar pyaar tarah

    gar sochiye muhājir-o-ansār tarah

    jazba nahīñ hai jazba-e-īsār tarah

    duniyā se pesh aa.iye bezār tarah

    pīchhe phirā karegī talabgār tarah

    ḳhushbū-e-dostāñ to havā par savār hai

    chalnā paḌegā vaqt raftār tarah

    rishte hue mafād parastī meñ mubtalā

    ghar ho gayā hai kūcha-e-bāzār tarah

    kaasa hai is amiir qismat meñ ai 'ḳhalish'

    jhuktā nahīñ jo shāḳh-e-samar-dār tarah

    har lafz hai nawishta-e-diwar ki tarah

    sach bolta hai wo mere ashaar ki tarah

    man hai azim nur ke minar ki tarah

    ghussa tu kar rahi hai magar pyar ki tarah

    gar sochiye muhajir-o-ansar ki tarah

    jazba nahin hai jazba-e-isar ki tarah

    duniya se pesh aaiye bezar ki tarah

    pichhe phira karegi talabgar ki tarah

    KHushbu-e-dostan to hawa par sawar hai

    chalna paDega waqt ki raftar ki tarah

    rishte hue mafad parasti mein mubtala

    ghar ho gaya hai kucha-e-bazar ki tarah

    kasa hai is amir ki qismat mein ai 'KHalish'

    jhukta nahin jo shaKH-e-samar-dar ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now