har lafz uske munh se jo nikla bhala laga
har lafz us ke muñh se jo niklā bhalā lagā
har vo libās us ne jo pahnā nayā lagā
rahtā hai pattharoñ ke nagar meñ vo sang-dil
be-fā.eda hai dar pe na us ke sadā lagā
be-chehra be-libās haiñ bastī ke saare log
kaisī hayā yahāñ pe na band-e-qabā lagā
sūrat se us kī mujh ko hai nafrat magar ye kyā
tasvīr se usī kī mirā ghar sajā lagā
tujh se farār pā na sakā maiñ kabhī 'zafar'
jis rāste gayā vo tire ghar se jā lagā
har lafz us ke munh se jo nikla bhala laga
har wo libas us ne jo pahna naya laga
rahta hai pattharon ke nagar mein wo sang-dil
be-faeda hai dar pe na us ke sada laga
be-chehra be-libas hain basti ke sare log
kaisi haya yahan pe na band-e-qaba laga
surat se us ki mujh ko hai nafrat magar ye kya
taswir se usi ki mera ghar saja laga
tujh se farar pa na saka main kabhi 'zafar'
jis raste gaya wo tere ghar se ja laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.