har laġhzish-e-hayāt par itrā rahā huuñ maiñ
aur be-gunāhiyoñ kī qasam khā rahā huuñ maiñ
nāz-āfrīñ mirā bhī ḳhirām-e-niyāz dekh
mahshar meñ muskurātā huā aa rahā huuñ maiñ
har ashk-e-dil-gudāz mai-nau-kashīda hai
sāġhar se sho.ala ban ke uḌā jā rahā huuñ maiñ
zarb-ul-masal haiñ ab mirī mushkil-pasandiyāñ
suljhā ke har girah ko phir uljhā rahā huuñ maiñ
chaltā hai saath saath zamāne ke kyā karūñ
ruḳh par havā ke bahtā chalā jā rahā huuñ maiñ
sab rishte ab to TuuT chuke sabr-o-zabt ke
añgḌā.iyoñ ko rok uḌā jā rahā huuñ maiñ
hāthoñ se chhūTne ko hai ab dil kā aa.ina
tum to sañvar rahe ho miTā jā rahā huuñ maiñ
kyā fā.eda zamāne se Takrā.ūñ kyuuñ 'sirāj'
ḳhud apne rāste se haTā jā rahā huuñ maiñ
har laghzish-e-hayat par itra raha hun main
aur be-gunahiyon ki qasam kha raha hun main
naz-afrin mera bhi KHiram-e-niyaz dekh
mahshar mein muskuraata hua aa raha hun main
har ashk-e-dil-gudaz mai-nau-kashida hai
saghar se shoala ban ke uDa ja raha hun main
zarb-ul-masal hain ab meri mushkil-pasandiyan
suljha ke har girah ko phir uljha raha hun main
chalta hai sath sath zamane ke kya karun
ruKH par hawa ke bahta chala ja raha hun main
sab rishte ab to TuT chuke sabr-o-zabt ke
angDaiyon ko rok uDa ja raha hun main
hathon se chhuTne ko hai ab dil ka aaina
tum to sanwar rahe ho miTa ja raha hun main
kya faeda zamane se Takraun kyun 'siraj'
KHud apne raste se haTa ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.