Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har lahza kamin dil mein teri yaad rahegi

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

har lahza kamin dil mein teri yaad rahegi

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

    har lahza kamīñ dil meñ tirī yaad rahegī

    bastī ye ujaḌne pe bhī ābād rahegī

    hai hasti-e-āshiq bas itnā fasāna

    barbād thī barbād hai barbād rahegī

    hai ishq vo ne.amat jo ḳharīdī nahīñ jaatī

    ye shai hai ḳhudā-dād ḳhudā-dād rahegī

    sayyād ko ma.alūm na thā raaz ye shāyad

    ye ruuh qafas meñ bhī to āzād rahegī

    vo aa.e bhī to zabt se lab hil na sakeñge

    fariyād mirī tishna-e-fariyād rahegī

    ye husn-e-sitam-kosh sitam-kosh hai kab tak

    kab tak ye nazar bānī-e-be-dād rahegī

    vo zulf-e-pareshāñ sañvāre na sañvarnā

    vo un ke bigaḌne adā yaad rahegī

    har lahza kamin dil mein teri yaad rahegi

    basti ye ujaDne pe bhi aabaad rahegi

    hai hasti-e-ashiq ka bas itna hi fasana

    barbaad thi barbaad hai barbaad rahegi

    hai ishq wo neamat jo KHaridi nahin jati

    ye shai hai KHuda-dad KHuda-dad rahegi

    sayyaad ko malum na tha raaz ye shayad

    ye ruh qafas mein bhi to aazad rahegi

    wo aae bhi to zabt se lab hil na sakenge

    fariyaad meri tishna-e-fariyaad rahegi

    ye husn-e-sitam-kosh sitam-kosh hai kab tak

    kab tak ye nazar bani-e-be-dad rahegi

    wo zulf-e-pareshan ka sanware na sanwarna

    wo un ke bigaDne ki ada yaad rahegi

    Source :
    • Book : sheerazah (Pg. 33)
    • Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
    • Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
    • Edition : 1973
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now