har lamha ata karta hai paimana sa ek shaKHs
har lamha ata karta hai paimana sa ek shaKHs
Akhtar Ansari Akbarabadi
MORE BYAkhtar Ansari Akbarabadi
har lamha atā kartā hai paimāna sā ik shaḳhs
āñkhoñ meñ liye baiThā hai mai-ḳhāna sā ik shaḳhs
aur is ke sivā anjuman-e-nāz meñ kyā hai
hai sham.a sā ik shaḳhs to parvāna sā ik shaḳhs
ḳhāmosh nigāhoñ meñ qayāmat kā asar thā
guzrā hai sunātā huā afsāna sā ik shaḳhs
ik husn-e-mukammal hai to ik ishq-sarāpā
hoshyār sā ik shaḳhs hai dīvāna sā ik shaḳhs
ham jalva-e-asnām se bezār haiñ lekin
miltā hai vahāñ rūh-e-sanam-ḳhāna sā ik shaḳhs
har lamha ata karta hai paimana sa ek shaKHs
aankhon mein liye baiTha hai mai-KHana sa ek shaKHs
aur is ke siwa anjuman-e-naz mein kya hai
hai shama sa ek shaKHs to parwana sa ek shaKHs
KHamosh nigahon mein qayamat ka asar tha
guzra hai sunata hua afsana sa ek shaKHs
ek husn-e-mukammal hai to ek ishq-sarapa
hoshyar sa ek shaKHs hai diwana sa ek shaKHs
hum jalwa-e-asnam se bezar hain lekin
milta hai wahan ruh-e-sanam-KHana sa ek shaKHs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.