har lamha begana hai
har lamha begāna hai
par kasne pahchānā hai
jise maut sab kahte haiñ
dhaḌkan kā ruk jaanā hai
maiñ kyā merā maiñ bhī kyā
keval āb-o-dānā hai
duniyā sab kuchh samajh aa.ī
bas ḳhud ko samjhānā hai
jhūTī tārīḳheñ mat dekh
jhūTā aanā jaanā hai
maiñ tujh se māyūs nahīñ
tū merā afsāna hai
jīvan kī sachchā.ī kyā
har pal dhokā khānā hai
is mahfil se kyā rishta
ronā hai nā gaanā hai
har lamha begana hai
par kasne pahchana hai
jise maut sab kahte hain
dhaDkan ka ruk jaana hai
main kya mera main bhi kya
kewal aab-o-dana hai
duniya sab kuchh samajh aai
bas KHud ko samjhana hai
jhuTi tariKHen mat dekh
jhuTa aana jaana hai
main tujh se mayus nahin
tu mera afsana hai
jiwan ki sachchai kya
har pal dhoka khana hai
is mahfil se kya rishta
rona hai na gana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.