har lamha-e-maujud ke imkan se pahle
har lamha-e-maujūd ke imkān se pahle
ik maiñ hī yaqīnī thā tire gyaan se pahle
hotī hai jo ab raat to ho merī balā se
maiñ Duub gayā raat ke elaan se pahle
bas chhū ke palaT aatā huuñ us bāġh-e-badan ko
paḌtā hai zarā ruuh ke zindān se pahle
tārīk sarāboñ kī chakā-chauñd meñ gum-sum
thā saḳht musalmān maiñ īmān se pahle
aatī hai sadā kun kī to kahtā huuñ ki zamzam
kuchh mashvara kar hazrat-e-insān se pahle
har lamha-e-maujud ke imkan se pahle
ek main hi yaqini tha tere gyan se pahle
hoti hai jo ab raat to ho meri bala se
main Dub gaya raat ke elan se pahle
bas chhu ke palaT aata hun us bagh-e-badan ko
paDta hai zara ruh ke zindan se pahle
tarik sarabon ki chaka-chaund mein gum-sum
tha saKHt musalman main iman se pahle
aati hai sada kun ki to kahta hun ki zamzam
kuchh mashwara kar hazrat-e-insan se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.