har lamha nam-dida rahne ki aadat
har lamha nam-dīda rahne kī aadat
le Duubī ranjīda rahne kī aadat
ab apnā chehra begāna lagtā hai
ham ko thī sanjīda rahne kī aadat
āḳhir ham ko be-zārī tak le aa.ī
har shai par girvīda rahne kī aadat
rafta rafta uryānī tak aa pahuñche
jin ko thī poshīda rahne kī aadat
dikh jaate haiñ yuuñ hī kuchh rañgīñ manzar
achchhī hai ḳhvābīda rahne kī aadat
ham haamī haiñ sīdhī-sādī bātoñ ke
aur us ko pechīda rahne kī aadat
āḳhir-kār varaq ke chithḌe kar degī
har mausam bosīda rahne kī aadat
har lamha nam-dida rahne ki aadat
le Dubi ranjida rahne ki aadat
ab apna chehra begana lagta hai
hum ko thi sanjida rahne ki aadat
aaKHir hum ko be-zari tak le aai
har shai par girwida rahne ki aadat
rafta rafta uryani tak aa pahunche
jin ko thi poshida rahne ki aadat
dikh jate hain yun hi kuchh rangin manzar
achchhi hai KHwabida rahne ki aadat
hum hami hain sidhi-sadi baaton ke
aur us ko pechida rahne ki aadat
aaKHir-kar waraq ke chithDe kar degi
har mausam bosida rahne ki aadat
- Book : Khwab Patthar Ho Gaye (Pg. 14)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Skylark House of Publications, 52 Shiv Vihar, Sector-1, Jankipuram, Lucknow-21 (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.